Friday, April 17, 2009

Flirt Poetry

Daikhi jo meri nabz tou kuch sochnay k baad,
Lia haath mai kagaz or bemaar-e-ishq likh dia..,
Qurbaan kyun na jaun mai aisay hakeem kay.,
Nuskhay mai jis nay sharbat-e-dedaar likh dia…!

======================================
Tum jis chaand ko dekhthe ho
Mein uss chaand ko dekh kar tumhein apni bahoon ke darmiyaan paata hun
Tum kya jaano tum kya ho
Jo aftaab tumhein dekh kar uthta hai
Mein ussey tumhari aankhon ki roshni mein dekhta hun
Tum kya jaano tum kya ho
Jo baharein tumhari khushboo se chith jaati hai
Unn kaliyon ko tumharey kadmon ke peechey

======================================
Tu bol uthy to lafz khushbo.
Tu soch le to kheyal khushbo.
Submited by apnayaar.com
Tery ta’aluq se ban gae hain,
Jwab khushbo Swal khushbo

======================================
Patthar tha Magar Baraf k Galon ki tarha tha
Ek Shakhs Andheron mai Ujaalon ki tarha tha
Khawbon ki tarha tha na Khayalon ki tarha tha
Woh Ilm-e-Riyaazi k Sawalon ki tarha tha
Uljha hua aisa k kabhi Hal ho nahi paya
Suljha hua aisa k Misaalon ki tarha tha
Wo Mil to gaya tha Magar apna hi Muqaddar
Shatranj ki Uljhi [...]

======================================
ham gulab ke phool hen tou kya hua,
log hamien honton se , ankhon se lagatey hen
tou kya hua~!
aap ko bhee tou paka ke khatey hen()
bher bakrya kacha hi khatey hein
kia baat hai Merey Gobi ke phool ki, kia bat hai ji yar asif

No comments:

Post a Comment